اردو हिंदी
Ada-o-naz mein kuchh kuchh jo hosh usne sambhaala hai | Shaahi Shayari
ada-o-naz mein kuchh kuchh jo hosh usne sambhaala hai

Ghazal

Ada-o-naz mein kuchh kuchh jo hosh usne sambhaala hai

Nazeer Akbarabadi

;

ada-o-naz mein kuchh kuchh jo hosh us ne sambhaala hai
to apne husn ka kya kya dilon mein shor Dala hai

abhi kya umr hai kya aql hai kya fahm hai lekin
abhi se dil-farebi ka lahr ek naqsha nirala hai

tabassum qahr hans dena qayamat dekhna aafat
palak dekho to nashtar hai nigah dekho to bhaala hai

abhi nok-e-nigah mein is qadar tezi nahin tis par
kai zaKHmi kiye hain aur kai ko mar Dala hai

akaDna tan ke chalna dhaj banana waza dikhlana
kabhi nima kabhi chapkan kabhi KHali doshaala hai

kisi ke sath kandhe par kisi ke lat sine par
kahin nafrat kahin ulfat kahin hila-hawala hai

'nazir' aisa hi dilbar shohra-e-afaq hota hai
abhi se dekhiye fitne ne kaisa Dhab nikala hai