اردو हिंदी
Ada mein bankpan andaz mein ek aan paida kar | Shaahi Shayari
ada mein bankpan andaz mein ek aan paida kar

Ghazal

Ada mein bankpan andaz mein ek aan paida kar

Ahsan Marahravi

;

ada mein bankpan andaz mein ek aan paida kar
tujhe mashuq banna hai to puri shan paida kar

kahan ka wasl kaisi aarzu ai dil wo kahte hain
na main hasrat karun puri na tu arman paida kar

hamara intiKHab achchha nahin ai dil to phir tu hi
KHayal-e-yar se behtar koi mehman paida kar

mujhe hai rashk us ko bhi raqib apna samajhta hun
na dekhe jo tujhe aisa koi darban paida kar

KHayal-e-zabt-e-ulfat hai to 'ahsan' phir KHatar kaisa
na dhaDke dil bhi sine mein wo itminan paida kar