ada mein bankpan andaz mein ek aan paida kar
tujhe mashuq banna hai to puri shan paida kar
kahan ka wasl kaisi aarzu ai dil wo kahte hain
na main hasrat karun puri na tu arman paida kar
hamara intiKHab achchha nahin ai dil to phir tu hi
KHayal-e-yar se behtar koi mehman paida kar
mujhe hai rashk us ko bhi raqib apna samajhta hun
na dekhe jo tujhe aisa koi darban paida kar
KHayal-e-zabt-e-ulfat hai to 'ahsan' KHauf phir kaisa
na dhaDke dil bhi sine mein wo itminan paida kar
Ghazal
Ada mein bankpan andaz mein ek aan paida kar
Ahsan Marahravi