ada ke tausan par us sanam ko jo aaj hum ne sawar dekha
to hilte hi Tuk inan ke kya kya kuchalte sabr-o-qarar dekha
jhapak pe mizhgan ke jab nigah ki to us ne ek pal mein hosh uDaya
jo chashm-o-ghamza ki tarz dekhi to jadu is ka shiar dekha
jo dekhi us ki wo tegh-e-abru to ji ko haibat ne aan ghera
nigah jo kakul ke dam par ki to dil ko is ka shikar dekha
hina jo hathon mein us ke dekhi to rang dil ka hua ajab kuchh
kamar bhi dekhi to aisi nazuk ki ho bhi is par nisar dekha
wo dekh leta hamari jaanib to is mein hoti kuchh aur KHubi
par us ne hargiz idhar na dekha 'nazir' hum ne hazar dekha
Ghazal
Ada ke tausan par us sanam ko jo aaj humne sawar dekha
Nazeer Akbarabadi