ada hai KHwab hai taskin hai tamasha hai
hamari aankh mein ek shaKHs be-tahasha hai
zara si chae giri aur dagh dagh waraq
ye zindagi hai ki aKHbar ka tarasha hai
tumhaara bolta chehra palak se chhu chhu kar
ye raat aaina ki hai ye din tarasha hai
tere wajud se bara-dari damak uTThi
ki phul pallu sarakne se irtiasha hai
main be-zaban nahin jo bolta hun likh likh kar
meri zaban tale zahr ka batasha hai
tumhaari yaad ke charkon se laKHt laKHt hai ji
ki KHanjaron se kisi ne badan ko qasha hai
jahan bhar se jahan-gard dekhne aaen
ki putliyon ka mere mulk mein tamasha hai
Ghazal
Ada hai KHwab hai taskin hai tamasha hai
Aamir Suhail