اردو हिंदी
Ada-e-husn ki husn-e-ada ki baat hoti hai | Shaahi Shayari
ada-e-husn ki husn-e-ada ki baat hoti hai

Ghazal

Ada-e-husn ki husn-e-ada ki baat hoti hai

Rishi Patialvi

;

ada-e-husn ki husn-e-ada ki baat hoti hai
wafa ki aazmaish par jafa ki baat hoti hai

ye kaisa daur-daura hai qalam-ru-e-mohabbat mein
buton ka hukm chalta hai KHuda ki baat hoti hai

koi gunjaish-e-faryaad-o-shikwa tak nahin baqi
KHata-e-be-gunahi par saza ki baat hoti hai

bhar aata hai dil-e-mahrum-e-pursish dard-mandi se
kahin bhi jab kisi dard-ashna ki baat hoti hai

phir us ke baad kaam aata hai jazba Dub marne ka
talatum tak KHuda-o-na-KHuda ki baat hoti hai

duaon ke bharose par bigaDte kaam bante hain
dawa be-sud Thahre to dua ki baat hoti hai

'rishi' qanun-e-qudrat hai amal-dari taghayyur ki
maqam-e-intiha par ibtida ki baat hoti hai