achchhi nibhi butan-e-sitam-ashna ke sath
ab baad-e-marg dekhiye kya ho KHuda ke sath
jab se wo sun chuke hain ki hum KHwab mein chale
nichi nigah bhi nahin karte haya ke sath
yun gumrahan-e-ishq hain rahzan ke sath KHush
goya ki ho liye hain kisi rahnuma ke sath
mangon dua-e-marg to aamin kahe adu
ab un ki bad-dua hai mere muddaa ke sath
yun kahte hain ki tujh ko satae hi jaenge
goya ki mujh ko ishq hai apni wafa ke sath
ghairon ne be-dili se meri pae muddaa
main gum hua na kyun dil-e-hasrat-faza ke sath
sharminda-e-butan na hue lakh lakh shukr
'salik' KHuda ne hum ko uThaya wafa ke sath
Ghazal
Achchhi nibhi butan-e-sitam-ashna ke sath
Qurban Ali Salik Beg