اردو हिंदी
Achchhi kahi dil maine lagaya hai kahin aur | Shaahi Shayari
achchhi kahi dil maine lagaya hai kahin aur

Ghazal

Achchhi kahi dil maine lagaya hai kahin aur

Jaleel Manikpuri

;

achchhi kahi dil main ne lagaya hai kahin aur
ye jab ho ki tum sa ho zamane mein kahin aur

gardun pe mah o mehr gul o shama zamin par
ek jalwa-e-jaanan hai kahin aur kahin aur

main aks hun aaina-e-imkan mein tumhaara
tum sa jo nahin aur to mujh sa bhi nahin aur

ahbab jo karte hain karam haal pe mere
kahta hai junun aaiye chal baiThen kahin aur

jate hain miTate hue wo naqsh-e-qadam ko
kah de koi un se ki hai ek KHak-nashin aur

aankh us ne milai taDap uTTha dil-e-muztar
taka tha kahin aur paDa tir kahin aur

hum bhule hue rah hain ai kaba-nashino
jate the kahin aur nikal aae kahin aur

deti hai maza nasiya-sai tere dar par
ek sajda jo karta hun to kahti hai jabin aur

kuchh roz 'jalil' apni rahi gar yahi haalat
DhunDenge falak aur nikalenge zamin aur