achchhe lafzon se nawaze ya wo ruswai kare
us ko haq hai ki burai kare achchhai kare
pyar to soch ki diwar hila deta hai
kaun is zehn ke dushman se shanasai kare
hath se hath jhaTak de ki use thame rakhe
us ko aazadi hai jab chahe wo ji aai kare
kya KHabar KHud ko hi ab bechna paD jae yahan
kis ko malum sitam kaise ye mahngai kare
karb zanjir ki manind jakaD leta hai
bhai ko sahna hi paDta hai agar bhai kare
main ne zehnon se qadamat ko khurach Dala he
shahr ka shahr mere dar pe jabin-sai kare
pyar ruhon mein kashish ban ki dhaDakta hai 'niyaz'
ye wo jazba hai jo pal-bhar mein shanasai kare
Ghazal
Achchhe lafzon se nawaze ya wo ruswai kare
Niyaz Husain Lakhwera