achchhe-KHase log bure ho jate hain
jagne ka dawa kar ke so jate hain
shahr ka bhi dastur wahi jangal wala
khojne wale hi akasr kho jate hain
diwanon ki ghat mein baiThne wale log
sunte hain ek din pagal ho jate hain
us ki gali mein ja kar us se uljhenge
sath agar hona hai ho lo jate hain
hum jaison ko hairat bhi hoti hogi
ek idhar aata hai udhar do jate hain
himmat haar gae to bazi haar gae
lauT ja tu bhi hum bhi ghar ko jate hain
Ghazal
Achchhe-KHase log bure ho jate hain
Khalid Ebadi