اردو हिंदी
Achchhe kabhi bure hain haalat aadmi ke | Shaahi Shayari
achchhe kabhi bure hain haalat aadmi ke

Ghazal

Achchhe kabhi bure hain haalat aadmi ke

Basheer Munzir

;

achchhe kabhi bure hain haalat aadmi ke
pichhe lage hue hain din raat aadmi ke

ruKHsat hue to jaana sab kaam the adhure
kya kya karen jahan mein do hat aadmi ke

miTTi se wo uTha hai miTTi mein ja milega
uDte phirenge ek din zarraat aadmi ke

ek aag hasraton ki sochon ka ek samundar
kya kya wabaal yarab hain sath aadmi ke

is daur-e-irtiqa mein 'munzir' qadam qadam par
pamal ho rahe hain jazbaat aadmi ke