achchha ye karam hum pe to sayyaad kare hai
par noch ke ab qaid se aazad kare hai
chup-chap paDa rahwe hai bimar tumhaara
nala hi kare hai na wo fariyaad kare hai
ai baad-e-saba un se ye kah dijiyo ja kar
pardes mein ek shaKHs tumhein yaad kare hai
farzana ujaDe hai bhare shahron ko lekin
diwana to sahra ko bhi aabaad kare hai
aawe hai tera nam to hans dewe hai aksar
diwana tera yun bhi tujhe yaad kare hai
nisbat hai nagine se ye boli hai hamari
kya naqid-e-fan hum se tu irshad kare hai
likh likh ke miTa dewe hai tu nam ye kis ka
sach kahiyo 'sarosh' aaj kise yaad kare hai

Ghazal
Achchha ye karam hum pe to sayyaad kare hai
Rifat Sarosh