achchha tumhaare shahr ka dastur ho gaya
jis ko gale laga liya wo dur ho gaya
kaghaz mein dab ke mar gae kiDe kitab ke
diwana be-paDhe-likhe mashhur ho gaya
mahlon mein hum ne kitne sitare saja diye
lekin zamin se chand bahut dur ho gaya
tanhaiyon ne toD di hum donon ki ana!
aaina baat karne pe majbur ho gaya
dadi se kahna us ki kahani sunaiye
jo baadshah ishq mein mazdur ho gaya
subh-e-visal puchh rahi hai ajab sawal
wo pas aa gaya ki bahut dur ho gaya
kuchh phal zarur aaenge roTi ke peD mein
jis din mera mutalba manzur ho gaya
Ghazal
Achchha tumhaare shahr ka dastur ho gaya
Bashir Badr