achchha to tum aise the
dur se kaise lagte the
hath tumhaare shaal mein bhi
kitne ThanDe rahte the
samne sab ke us se hum
khinche khinche se rahte the
aankh kahin par hoti thi
baat kisi se karte the
qurbat ke un lamhon mein
hum kuchh aur hi hote the
sath mein rah kar bhi us se
chalte waqt hi milte the
itne baDe ho ke bhi hum
bachchon jaisa rote the
jald hi us ko bhul gae
aur bhi dhoke khane the
Ghazal
Achchha to tum aise the
Shariq Kaifi