achchha tha koi KHwab nazar mein na palte
ek umr sarf ho gai un ko sambhaalte
duniya sanwarne mein rahi apne KHadd-o-KHal
hum aainon pe rah gae patthar uchhaalte
aaKHir ghubar-e-dasht ke hamrah ho liye
kab tak hum is ko wada-e-farda pe Talte
kiDe nikalte hain gul-e-nau-ba-nau mein aap
kya KHub tha jo kiDon se resham nikalte
rakhte hain jo charagh sar-e-rahguzar aap
behtar tha is se apne hi ghar ko ujalte
qaem rahenge tum se hi gulshan mein rang-o-bu
rakhiyo na apne zehn mein aise mughaalate
rona isi ka aaj bhi rote ho tum 'salim'
guzre hue zamane pe ab KHak Dalte
Ghazal
Achchha tha koi KHwab nazar mein na palte
Saleem Sarfaraz