achchha sa iKHtitam bhi tum se na ho saka
is martaba salam bhi tum se na ho saka
suljhin na gutthiyan kabhi bahar ke KHauf ki
andar ka ehtiram bhi tum se na ho saka
bachchon ne aag oDh li chiKHon ke shor mein
aise mein kuchh kalam bhi tum se na ho saka
KHarcha na ghar ka chal saka harfon ko bech kar
lahja badal ke nam bhi tum se na ho saka
apna hi ghar sambhaalna bhi kaam hai koi
itna zara sa kaam bhi tum se na ho saka

Ghazal
Achchha sa iKHtitam bhi tum se na ho saka
Najmus Saqib