achchha qisas lena phir aah-e-atishin se
aao idhar pasina to puchh dun jabin se
mera niyaz phir bhi Thukraya ja raha hai
nikli hai rasm-e-sajda go meri hi jabin se
majburi-e-mohabbat insaf chahti hai
shikwa bhi hai tumhin se fariyaad bhi tumhin se
han hum bhi jaante hain muddat se un buton ko
kabe ke rahne wale nikle hain aastin se
suraj ki tez kirnen kaam apna kar rahi hain
baiTha hun munh chhupae ek bhigi aastin se
wo sang-e-dar salamat aankhon se dekh lena
ek din tulua hoga ek chand isi jabin se
pani ki chadaren hain KHushki hai maut un ki
ye ashk pak honge sahil ki aastin se
the aasman kabhi hum ab to nazar se gir kar
KHud apni zindagi mein hum mil gae zamin se
sara ghurur-e-sajda miTTi mein mil raha hai
ek naqsh-e-pa uThae uThta nahin jabin se
kyun hun 'siraj' phir hum muhtaj-e-dil-nawazi
mil jae mange-jache kuchh dard agar kahin se
Ghazal
Achchha qisas lena phir aah-e-atishin se
Siraj Lakhnavi