achchha hua ki ishq mein barbaad ho gae
majburiyon ki qaid se aazad ho gae
kab tak fareb khate rahen qaid mein rahen
ye soch kar asir se sayyaad ho gae
is kaifiyat ka nam hai kya sochte hain hum
aur doston ki zid hai ki farhad ho gae
milne ka man nahin to bahana naya tarash
ab to mukalme bhi tere yaad ho gae
bezar bad-mizaj ana-dar bad-lihaz
aise nahin the jaise tere baad ho gae
'sani' faqat tumhaara likha jin KHutut par
wo to kabhi ke zaed-ul-miad ho gae
Ghazal
Achchha hua ki ishq mein barbaad ho gae
Wajeeh Sani