achchha hua ki dam shab-e-hijran nikal gaya
dushwar tha ye kaam par aasan nikal gaya
bak bak se nasehon ki hua ye to faeda
main ghar se chaak kar ke gireban nikal gaya
phir dekhna ki KHizr phirega baha baha
gar su-e-dasht main kabhi giryan nikal gaya
KHubi safa-e-dil ki hamari ye jaaniye
sine ke par saf jo paikan nikal gaya
hangame kaise rahte hain apne sabab se wan
hum se hi nam-e-kucha-e-jaanan nikal gaya
furqat mein kar-e-wasl liya wah wah se
har aah-e-dil ke sath ek arman nikal gaya
behtar hua ki aae wo mahfil mein be-naqab
'arif' ghurur-e-mah-e-jabinan nikal gaya
Ghazal
Achchha hua ki dam shab-e-hijran nikal gaya
Zain-ul-Abideen Khan Arif