achchha hai koi tir-ba-nashtar bhi le chalo
kuchh yaadgar-e-shahr-e-sitamgar bhi le chalo
sab ja rahe gulab se chehre liye hue
tum aainon ke shahr mein patthar bhi le chalo
yun kam nahin hai shirin-bayani hi aap ki
chaho to aastin mein KHanjar bhi le chalo
mujh ko kisi yazid ki baiat nahin qubul
neze ye rakkho aao mera sar bhi le chalo
kya jaane kaise KHwab sajaane paDen ai 'shauq'
aankho mein ek hasin sa manzar bhi le chalo
Ghazal
Achchha hai koi tir-ba-nashtar bhi le chalo
Abdullateef Shauq