اردو हिंदी
Abru ne tere khinchi kaman jaur-o-jafa par | Shaahi Shayari
abru ne tere khinchi kaman jaur-o-jafa par

Ghazal

Abru ne tere khinchi kaman jaur-o-jafa par

Faez Dehlvi

;

abru ne tere khinchi kaman jaur-o-jafa par
qurban karun sau jiw tere tir-e-ada par

yaqut ko lawe nahin KHatir mein kabhi wo
jis ki nazar ai yar paDe teri hina par

kya KHub tere sar pe lage chira-e-salo
kya zeb dewe basma teri sabz qaba par

tujh dam mein ai aahu-e-chin band hai 'faez'
hargiz nahin us tair-e-andesha KHata par