اردو हिंदी
Abru hai kaba aaj se ye nam rakh diya | Shaahi Shayari
abru hai kaba aaj se ye nam rakh diya

Ghazal

Abru hai kaba aaj se ye nam rakh diya

shauq Qidvai

;

abru hai kaba aaj se ye nam rakh diya
hum ne uTha ke taq pe islam rakh diya

nashshe mein ja gira jo main masjid mein sar ke bal
zahid ne mujh pe sajde ka ilzam rakh diya

jhichka wo KHauf kha ke to main ne taDap ke KHud
barchhi ki nok par dil-e-nakaam rakh diya

dilchasp nam sun ke lage mangne hasin
kis ne zara se KHun ka dil nam rakh diya

itni to us ne ki meri dil-soziyon ki qadr
turbat pe ek charagh sar-e-sham rakh diya

juDa jo bandh gaya to nae dil kahan phansen
tu ne idhar lapeT ke kyun dam rakh diya

aankh is ada se us ne dikhai ki main ne 'shauq'
chupke se apna mai ka bhara jam rakh diya