abru-e-abr se karta hai ishaara mujh ko
jhalak us aankh ki dikhla ke sitara mujh ko
hun main wo shama sar-e-taq jala kar sar-e-sham
bhul jata hai mera anjuman-ara mujh ko
raegan wusat-e-viran mein ye khilte hue phul
un ko dekhun to ye dete hain sahaara mujh ko
meri hasti hai faqat mauj-e-hawa naqsh-e-habab
koi dam aur karen aap gawara mujh ko
dam phailati rahi sud-o-ziyan ki ye bisat
han magar mere junun ne nahin haara mujh ko
kuchh shab-o-roz-o-mah-o-sal guzar kar mujh par
waqt ne ta-ba-abad KHud pe guzara mujh ko
mauj-e-be-tab hun main mere anasir hain kuchh aur
chahiye sohbat-e-sahil se kinara mujh ko
rizq se mere mere dil ko hai ranjish 'KHurshid'
aasmanon se zaminon pe utara mujh ko
Ghazal
Abru-e-abr se karta hai ishaara mujhko
Khursheed Rizvi