abr sarka chand ki chehra-numai ho gai
ek jhalak dekha use aur aashnai ho gai
so gaya to KHwab apne ghar mein le aae mujhe
jaise meri waqt se pahle rihai ho gai
mere kamre mein koi taswir pahle to na thi
us ko dekha sade kaghaz par chhapai ho gai
main khuli chhat se utar aaya bhare bazar mein
samne khiDki ki raunaq jab parai ho gai
uD rahi hai har taraf suraj ke angare ki rakh
bujh gaya din jal ke KHakistar KHudai ho gai
kash jite-ji shajar sae mein le leta mujhe
wasl ke mausam se pahle hi judai ho gai
bah chuke aansu to chashm-e-sabz ka rang uD gaya
rafta rafta zard is dariya ki kai ho gai
ho gai 'shahid' wo chashm-e-sang pani kya hua
kis tarah naKHun se patthar par khudai ho gai
Ghazal
Abr sarka chand ki chehra-numai ho gai
Saleem Shahid