abr sahra-e-jaan talash kare
pyas apna jahan talash kare
har aqidat ki ek manzil hai
har jabin aastan talash kare
apne mahwar pe rah nahin sakti
jo zamin aasman talash kare
ishq DhunDe kahaniyan apni
husn apna bayan talash kare
koi to raston pa nikle bhi
koi to karwan talash kare
kya haqiqat pe chal gaya afsun
kya yaqin bhi guman talash kare
kya sitaron se ja milin aankhen
kya nazar kahkashan talash kare
kis ko kirdar ki tamanna hai
kaun ab dastan talash kare
jao kah do 'nisar' ja ke use
hum sa ek mehrban talash kare

Ghazal
Abr sahra-e-jaan talash kare
Nisar Turabi