abr san har-chand rakkha chashm ko pur-ab hum
kar sake par kisht ulfat ka nahin shadab hum
hijr ki aatish ne aisa qurb-e-dil paida kiya
be-qararana taDapte ab hain jun simab hum
chha gain zulfen kisi mukhDe pe jun aakas pun
KHud-baKHud khate hain pech-o-tab jun lailab hum
gard-baad-asa paDe phirte hain bagh-o-ragh mein
maskan-o-mawa kahan rakhte hain dar-yak-bab hum
dekh lene de tu apne kan ka bunda hamein
phir kahan pawenge zalim ye dur-e-nayab hum
zindagi phusla ke lai yan hazar afsos aah
phans gae be-tarah is duniya ke dar KHullab hum
yan hai fikr-e-maishat wan hai andesha maad
hain ba-girdab-e-gham-e-duniya-e-dun gharqab hum
munkashif hoti haqiqat marg gar roz-e-alast
hargiz ai dahr az adam karte nahin peshab hum
mat kar 'afridi' ko is maslaKH mein paband aaKHirash
zabh ho jawenge tere hath ai qassab hum

Ghazal
Abr san har-chand rakkha chashm ko pur-ab hum
Qasim Ali Khan Afridi