abr nariyal naddi raste pe main aur tu
aatma ko kalpae koelon ki ku hu ku
kufa tere kuchon se apna karwan guzra
sar sawar nezon par qibla-ru sitara-ju
ya darun-e-afsana teri meri chap ubhre
madh-milan ki raaton mein ya jalen bujhin jugnu
roz-e-afrinash se apni ham-qadam sajni
panchhiyon ki chahkaren bansiyon ki haw-hu
rahguzar paraggyan tu mile sada sayyan
kar gaya hai be-qabu tere pyar ka jadu
gat par shararat se phulti hui purwa
bhed aur bhitar mein jhulti hui KHushbu
pichhe pichhe shahzada biti dastanon mein
aage aage ghoDe ke bhagta hua aahu
moD ek kahani ka sach ki pasbani ka
al-atash ki aawazen dasht mein kinar-e-ju
Ghazal
Abr nariyal naddi raste pe main aur tu
Nasir Shahzad