abr ke bin dekhe hargiz KHush dil-e-mastan na ho
tir baran howe mujh par jab talak baran na ho
meri ruswai ne tere husn ki ki hai numud
jab talak shabnam nahin roe to gul KHandan na ho
tarz teri guftugu ki hai gawah-e-mai-kashi
bu-e-gul aur nashsha-e-sahba kabhi pinhan na ho
shaiKH ko wo jahl hai sau bar kabe ke tain
jae aur aae wa-lekin phir gadha insan na ho
zikr-e-abru-e-butan se kyun bura mane hai shaiKH
kya hua kafir tujhe qible se ru-gardan na ho
sach bata ai jaan-e-ishq o ishq-bazan kya hai tu
bin tere main us badan sa hun ki jis mein jaan na ho
yan se ja shaitan zulf-e-yar ko hum de chuke
aashiqon ka din hai ye shaiKH ka iman na ho
tark-e-taz-e-ghamza ka us ki yahi Dar hai 'raza'
ye gham-abaad apna shahr-e-dil kahin viran na ho
Ghazal
Abr ke bin dekhe hargiz KHush dil-e-mastan na ho
Raza Azimabadi