abr ka TukDa koi baala-e-baam aata hua
mere ghar bhi sabz mausam ka payam aata hua
dhup ki bujhti tamazat ki sipar leta chalun
phir ufuq se dhire dhire waqt-e-sham aata hua
phir dar-e-dil par hui hain raushni ki dastaken
phir sitara sa koi baala-e-baam aata hua
ek mubham sa tasawwur ek be-chehra sa nam
meri tanhai mein aksar mere kaam aata hua
koi qatre mein samundar dekh kar sairab hai
koi dariya se musalsal tishna-kaam aata hua
Ghazal
Abr ka TukDa koi baala-e-baam aata hua
Shoaib Nizam