abr hun aur barasne ko bhi tayyar hun main
tujh ko sairab karunga ki dhuan-dhaar hun main
ab to kuchh aur hi KHatraat se do-chaar hun main
apne hi sar pe laTakti hui talwar hun main
tab main ek aankh tha jab to koi manzar bhi na tha
aaj taswir hai to naqsh-ba-diwar hun main
hijr ke baad ke manzar ka kinaya hun koi
ek dhuan sa pas-e-diwar-e-shab-e-tar hun main
mera sarmaya to bas manzar-e-be-manzari hai
shahr-e-be-aks ka ek aaina-bardar hun main
Dal ke sar ko gireban mein laraz uThta hun
muTThi-bhar KHak nahin ek siyah ghaar hun main
dekh shamil hi nahin is mein koi mere siwa
dekh kis qafila-e-zat ka salar hun main
bas yahi hai mere hone ka jawaz aur suragh
ek na hone se miyan bar-sar-e-paikar hun main
Ghazal
Abr hun aur barasne ko bhi tayyar hun main
Rafiq Raaz