abr hi abr hai barasta nain
ab ke sawan tumhaare jaisa nain
KHwab aur saint kar rakhen aankhen
in se aansu to ek sambhalta nain
ghumti hai zamin gird mere
panw uThte hain raqs hota nain
noch Dale hain apne par main ne
main bhi insan hun farishta nain
kaisa harjai ho gaya aansu
mera daman hai aur gila nain
kab hue dost kab hue dushman
aap ka bhi koi bharosa nain
dil ki baaten aur is se chhoDo bhi
wo jo lagta hai yar waisa nain
baaton baaton mein jaan lenge sabhi
jo bhi tera nahin wo mera nain
aasmanon mein kho gain ja kar
kuchh patangon ki koi 'sima' nain

Ghazal
Abr hi abr hai barasta nain
Seema Naqvi