abr-e-dida ka mere ho jo na ojhaD pani
phir kahin jhiDki lagae na kahin jhaD pani
mere rone se dil-e-sang jo aab aab na ho
kohsaron se gire phir na dhaDa-dhaD pani
ye andhera ye shab-e-tar kahan jaoge
din hain barsat ke galiyon mein hai kichaD pani
barq-andaz na kis tarah karun nala-e-garm
jaan betab hai bijli ki tarah taD pani
rashk-e-lal-e-lab-e-lalin se jigar-KHun yaqut
sharm-e-dandan se hai moti ki har ek laD pani
tir-baran mizha-e-yar mujhe karti hai
main samajhta hun barasta hai jhaDa-jhaD pani
main jo ai 'shad' na roun sifat abr-e-bahaar
paen ek qatra kahin jhil na jhabaD pani
Ghazal
Abr-e-dida ka mere ho jo na ojhaD pani
Shad Lakhnavi