abr chhaya tha fazaon mein teri baaton ka
kitna dilkash tha wo manzar bhari barsaton ka
bujhti shamon ke taffun se bachane tujh ko
main ne aanchal mein sameTa hai dhuan raaton ka
koi shahnai se kah do zara KHamosh rahe
shor achchha nahin lagta mujhe baraaton ka
lakh darwaze hon chup aur dariche KHamosh
chuDiyan raaz ugalti hain mulaqaton ka
dhup bhi tez hai 'shabnam' ka bharosa bhi nahin
waqt bhi baqi nahin ab to munajaton ka

Ghazal
Abr chhaya tha fazaon mein teri baaton ka
Rafia Shabnam Abidi