اردو हिंदी
Abr chhaya na koi abr barasta guzra | Shaahi Shayari
abr chhaya na koi abr barasta guzra

Ghazal

Abr chhaya na koi abr barasta guzra

Khvaja riyazuddin atash

;

abr chhaya na koi abr barasta guzra
ab ke sawan bhi kaDi dhup mein jalta guzra

ya sar-e-rah kabhi TuT ke tare barse
ya kisi chand ka bujhta hua saya guzra

hum jalate rahe har-gam mohabbat ke charagh
wo rah-o-rasm ki har shama bujhata guzra

hum guzar jate hain har dur se aise jaise
ek aansu kisi jhurri se Dhalakta guzra

sochta hun ki badalne paDe kitne chehre
zindagi guzri hai apni ki tamasha guzra

jada-e-umr 'atash' panw ki gardish Thahri
dasht simTa na kabhi daman-e-sahra guzra