اردو हिंदी
Abr chhaega to barsat bhi ho jaegi | Shaahi Shayari
abr chhaega to barsat bhi ho jaegi

Ghazal

Abr chhaega to barsat bhi ho jaegi

Aziz Warsi

;

abr chhaega to barsat bhi ho jaegi
did hogi to mulaqat bhi ho jaegi

ai dil-e-husn-e-talab mashq-e-tasawwur tu baDha
phir jo chahega wahi baat bhi ho jaegi

sar jhukae hue baiThe ho abas baada-kasho
jam uThaoge to barsat bhi ho jaegi

aaj us ne nae andaz se dekha hai mujhe
ghaaliban aaj koi baat bhi ho jaegi

be-KHudi sirf dalil-e-gham-e-pinhan hi nahin
ek din kashif-e-haalat bhi ho jaegi

bul-hawas dahr ke rangin manazir se na khel
din hua hai to yahan raat bhi ho jaegi

jaan de kar teri mahfil mein kabhi jaan-e-'aziz'
jaur ki tere mukafat bhi ho jaegi