اردو हिंदी
Abr be-wajh nahin dasht ke upar aae | Shaahi Shayari
abr be-wajh nahin dasht ke upar aae

Ghazal

Abr be-wajh nahin dasht ke upar aae

Mukhtar Javed

;

abr be-wajh nahin dasht ke upar aae
ek dua aur ki barish ki dua bar aae

aankh rakhte hue kuchh bhi nahin dekha hum ne
warna manzil se hasin rah mein manzar aae

koi imkan ki jage kabhi lohe ka zamir
aur qatil ki taraf lauT ke KHanjar aae

aarzu thi ki shajar ko samar-awar dekhun
baur paDte hi magar sahn mein patthar aae

tujh se dariya to gae chal ke samundar ki taraf
mujh se qatre ki taraf uD ke samundar aae

aazmaish ho shujaat ki to phir aise ho
main akela hun mere samne lashkar aae

kar diya dhup ne jab shahr ko sayon ke sipurd
phir to din mein bhi kai raat ke manzar aae