abhi zamir mein thoDi si jaan baqi hai
abhi hamara koi imtihan baqi hai
hamare ghar ko to ujDe hue zamana hua
magar suna hai abhi wo makan baqi hai
hamari un se jo thi guftugu wo KHatm hui
magar sukut sa kuchh darmiyan baqi hai
hamare zehn ki basti mein aag aisi lagi
ki jo tha KHak hua ek dukan baqi hai
wo zaKHm bhar gaya arsa hua magar ab tak
zara sa dard zara sa nishan baqi hai
zara si baat jo phaili to dastan bani
wo baat KHatm hui dastan baqi hai
ab aaya tir chalane ka fan to kya aaya
hamare hath mein KHali kaman baqi hai
Ghazal
Abhi zamir mein thoDi si jaan baqi hai
Javed Akhtar