abhi wo kamsin ubhar raha hai abhi hai us par shabab aadha
abhi jigar mein KHalish hai aadhi abhi hai mujh par itab aadha
hijab o jalwe ki kashmakash mein uThaya us ne naqab aadha
idhar huwaida sahab aadha udhar ayan mahtab aadha
mere sawal-e-visal par tum nazar jhuka kar khaDe hue ho
tumhin batao ye baat kya hai sawal pura jawab aadha
lapak ke mujh ko gale lagaya KHuda ki rahmat ne roz-e-mahshar
abhi sunaya tha mohtasib ne mere gunah ka hisab aadha
baja ki ab baal to siyah hain magar badan mein sakat nahin hai
shabab laya KHizab lekin KHizab laya shabab aadha
laga ke lase pe le ke aaya hun shaiKH sahab ko mai-kade tak
agar ye do ghonT aaj pi len milega mujh ko sawab aadha
kabhi sitam hai kabhi karam hai kabhi tawajjoh kabhi taghaful
ye saf zahir hai mujh pe ab tak hua hun main kaamyab aadha
kisi ki chashm-e-surur aawar se ashk aariz pe Dhal raha hai
agar shuur-e-nazar hai dekho sharab aadhi gulab aadha
purane waqton ke log KHush hain magar taraqqi pasand KHamosh
teri ghazal ne kiya hai barpa 'sahar' abhi inqilab aadha
Ghazal
Abhi wo kamsin ubhar raha hai abhi hai us par shabab aadha
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar