abhi to yahi dekhna chahta hun
nahin chahta un ko ya chahta hun
wo kahte hain tum mujh se kya chahte ho
yahi kuchh to main jaanna chahta hun
meri niyaton par nazar rakhne walo
KHudara bata do main kya chahta hun
na samjha koi jis ko wo harf hun main
ghalat ho gaya hun miTa chahta hun
wo pur-josh aansu wo KHamosh aahen
wahi ishq ki ibtida chahta hun
main samjha wo kuchh puchhna chahte hain
wo samjhe ki main kuchh kaha chahta hun
ummidon se dil-e-barbaad ko aabaad karta hun
miTane ke liye duniya nai ijad karta hun
teri miad-e-gham puri hui ai zindagi KHush ho
qafas TuTe na TuTe mein tujhe aazad karta hun
jafa-karo meri mazlum KHamoshi pe hanste ho
zara Thahro zara dam lo abhi fariyaad karta hun
mein apne dil ka malik hun mera dil ek basti hai
kabhi aabaad karta hun kabhi barbaad karta hun
mulaqaten bhi hoti hain mulaqaton ke baad aksar
wo mujh ko bhul jate hain main un ko yaad karta hun
KHudi ki ibtida ye thi ki apne-ap mein gum tha
KHudi ki intiha ye hai KHuda ko yaad karta hun
buton ke ishq mein khoya gaya hun warna ai 'aKHtar'
KHuda shahid hai main aksar KHuda ko yaad karta hun
Ghazal
Abhi to yahi dekhna chahta hun
Hari Chand Akhtar