abhi to hausla-e-karobar baqi hai
ye kam ki aamad-e-fasl-e-bahaar baqi hai
abhi to shahr ke khanDaron mein jhankna hai mujhe
ye dekhna bhi to hai koi yar baqi hai
abhi to kanTon bhare dasht ki karo baaten
abhi to jaib o gareban mein tar baqi hai
abhi to kaTna hai teshon se chaTTanon ko
abhi to marhala-e-kohsar baqi hai
abhi to jhelna hai sanglaKH chashmon ko
abhi to silsila-e-ab-shaar baqi hai
abhi to DhunDni hain rah mein kamin-gahen
abhi to marka-e-gir-o-dar baqi hai
abhi na saya-e-diwar ki talash karo
abhi to shiddat-e-nisfun-nahaar baqi hai
abhi to lena hai hum ko hisab-e-shahr-e-qital
abhi to KHun-e-gulu ka shumar baqi hai
abhi yahan to shafaq-gun koi ufuq hi nahin
abhi tasadum-e-lail-o-nahaar baqi hai
ye hum ko chhoD ke tanha kahan chale 'wamiq'
abhi to manzil-e-meraj-e-dar baqi hai
Ghazal
Abhi to hausla-e-karobar baqi hai
Wamiq Jaunpuri