اردو हिंदी
Abhi to faisla baqi hai sham hone de | Shaahi Shayari
abhi to faisla baqi hai sham hone de

Ghazal

Abhi to faisla baqi hai sham hone de

Kabir Ajmal

;

abhi to faisla baqi hai sham hone de
sahar ki oT mein mahtab-e-jaan ko rone de

teri nazar ke ishaare na raushni ban jaen
to phir ye raat kahan jugnuon ko sone de

bahut hua to hawaon ke sath ro lunga
abhi to zid hai mujhe kashtiyan Dubone de

hamare baad bhi kaam aaegi junun ki aag
ye aag zinda hai is ko na sard hone de

sadi se mangegi agli sadi hisab-e-gunah
mere sarishk ko lamhon ke dagh dhone de

ye gham mera hai to phir ghair se ilaqa kya
mujhe hi apni tamanna ka bar Dhone de

babul sabz hai bandhe hisar-e-naz 'ajmal'
mujhe bhi apni zamin mein chinar bone de