abhi to aap hi hail hai rasta shab ka
qarib aae to dekhenge hausla shab ka
chali to aai thi kuchh dur sath sath mere
phir is ke baad KHuda jaane kya hua shab ka
mere KHayal ke wahshat-kade mein aate hi
junun ki nok se phuTa hai aabla shab ka
sahar ki pahli kiran ne use bikher diya
mujhe sameTne aaya tha jab KHuda shab ka
zamin pe aa ke sitaron ne ye kaha mujh se
tere qarib se guzra hai qafila shab ka
sahar ka lams meri zindagi baDha deta
magar garan tha bahut mujh pe kaTna shab ka
kabhi kabhi to ye wahshat bhi hum pe guzri hai
ki dil ke sath hi dekha hai Dubna shab ka
chaTaKH uThi hai rag-e-jaan to ye KHayal aaya
kisi ki yaad se juDta hai silsila shab ka
Ghazal
Abhi to aap hi hail hai rasta shab ka
Abhishek Shukla