abhi tak us ko mera intizar hai shayad
meri nazar pe bahut e'tibar hai shayad
libas aisa main pahle kabhi nahin dekha
kisi ke sog mein ab ke bahaar hai shayad
wo dekh kar mujhe misl-e-gulab khilta hai
ki dil hi dil mein use mujh se pyar hai shayad
kai dilon ka muqaddar azab hota hai
hamara dil bhi unhin mein shumar hai shayad
nigah-e-naz ka nashsha kabhi ka TuT chuka
bas ab to aankhon mein us ka KHumar hai shayad
wo baat baat pe apni misal deta hai
kuchh apne aap pe kam e'tibar hai shayad
tane pe jis ke tarashe the hum ne nam kabhi
'KHayal' kije yahi wo chinar hai shayad

Ghazal
Abhi tak usko mera intizar hai shayad
Priyadarshi Thakur u0027Khayalu0027