abhi tak jab hamein jina na aaya
bharosa kya ki kal aaya na aaya
jale hum yun ki jaise chob-e-nam hon
charaghon ki tarah jalna na aaya
ghulelen la ke bachche puchhte hain
parinda kyun wo dobara na aaya
main kya kahta ki sab ke sath mein tha
ayaadat ko bhi wo tanha na aaya
ihata chahaar-diwari andhera
kisi jaanib bhi darwaza na aaya
wo pahle ki tarah bichhDa hai ab bhi
magar ab ke hamein rona na aaya
KHazana le uDa choron ka jattha
palaT kar phir ali-baba na aaya
Ghazal
Abhi tak jab hamein jina na aaya
Nashtar Khaanqahi