abhi tak hausla Thahra hua hai
nafas ka silsila Thahra hua hai
ragon par aaj bhi hai larza tari
nigah mein hadsa Thahra hua hai
faqat qabil ne buniyaad Dali
abhi tak silsila Thahra hua hai
bas ek tar-e-nafas ka TuTna hai
yahi ek hadsa Thahra hua hai
nazar ki chuk thi bas ek lamha
sadi ka qafila Thahra hua hai
jahan tak panw mere ja sake hain
wahin tak rasta Thahra hua hai
wo hum se ruTh kar bhi dur kab hain
dilon ka rabta Thahra hua hai
wahi qatil wahi munsif bana hai
usi se faisla Thahra hua hai
Ghazal
Abhi tak hausla Thahra hua hai
Abdussamad ’Tapish’