abhi tak chashm-e-qatil se pashemani nahin jati
nadamat KHun-e-nahaq ki ba-asani nahin jati
haqiqat parda-e-baatil mein chhup jae ye na-mumkin
pas-e-fanus bhi shoalon ki uryani nahin jati
farishte mahw-e-hairat rah gae parwaz-e-insan par
wahan pahuncha jahan tak aql-e-insani nahin jati
sitamgari asar karti nahin rangin tabiat par
qafas mein bhi anadil ki ghazal-KHwani nahin jati
na ho jae kahin zer-o-zabar ye aaina-KHana
nigah-e-'shauq' se jalwon ki hairani nahin jati
Ghazal
Abhi tak chashm-e-qatil se pashemani nahin jati
Shauq Bijnori