abhi shuur ne bas dukhti rag TaToli hai
abhi to zindagi bas nind hi mein boli hai
kisi KHayal ne shab ko jo aankh kholi hai
dukhon ki os mein dil ne nawa bhigo li hai
paDi nahin hai tumhein waqt ki abhi tak mar
bhugat sakoge bhi kya tum zaban to kholi hai
mazaq bas ye kiya mere sath fitrat ne
mata-e-dil bhi meri bas nazar mein toli hai
kabhi is apne tasawwur pe aankh bhi bhar aai
qaza ke dosh pe jaise baqa ki Doli hai
Ghazal
Abhi shuur ne bas dukhti rag TaToli hai
Manmohan Talkh