abhi shab hai mai-e-ulfat unDelen
magar din mein gharon ke raste len
chalo ruk jaen bahr-e-did hum bhi
dariche par jhuki jati hain belen
KHudaya kash ye hire si aankhen
mohabbat ki kaDi bazi na khelen
irada hai na pahchanen use hum
tamanna ko ye zid bahon mein le len
bahut arsa rahe hain sath us ke
so ab tanhai bhi kuchh roz jhelen
hai dil mein zabt aur aankhon mein aansu
tasadum ko baDhi aati hain railen
ye ghar hain ya ba-waqt-e-sham 'sajid'
swagat ke liye khulti hain jelen
Ghazal
Abhi shab hai mai-e-ulfat unDelen
Ghulam Husain Sajid