اردو हिंदी
Abhi se taq-e-talab par na tu saja mujhko | Shaahi Shayari
abhi se taq-e-talab par na tu saja mujhko

Ghazal

Abhi se taq-e-talab par na tu saja mujhko

Naheed Virk

;

abhi se taq-e-talab par na tu saja mujh ko
abhi to karna hai is dil se mashwara mujh ko

abhi shabih mukammal nahin hui teri
abhi to bharna hai ek rang-e-mawara mujh ko

koi na koi to surat nikal hi aaegi
zara batao to darpesh marhala mujh ko

ye baat baat pe takrar-o-bahs kya karna
ki jitna hai tumhein aur haarna mujh ko

main us ki zat mein shamil thi, us ko mil jati
dua-e-KHair samajh kar wo mangta mujh ko

main jis mein dekh ke KHud ko sanwar lun 'nahid'
abhi mila hi kahan hai wo aaina mujh ko