abhi se aafat-e-jaan hai ada ada teri
ye ibtida hai to kya hogi intiha teri
meri samajh mein ye qatil na aaj tak aaya
ki qatl karti hai talwar ya ada teri
naqab lakh chhupae wo chhup nahin sakti
meri nazar mein jo surat hai dilruba teri
lahu ki bund bhi ai tir-e-yar dil mein nahin
ye fikr hai ki tawazo karun main kya teri
sungha rahi hai mujhe ghash mein nikhat-e-gesu
KHuda daraaz kare umr ai saba teri
ada pe naz to hota hai sab hasinon ko
faza ko naz hai jis par wo hai ada teri
'jalil' yar ke dar tak guzar nahin na sahi
hazar shukr ki hai us ke dil mein ja teri
Ghazal
Abhi se aafat-e-jaan hai ada ada teri
Jaleel Manikpuri